Kanz e Aza

Naade Aliyan Mazharal

A noha for Imam Raza (a.s) (2009). Lyrics in Roman Urdu.

Ya ali..(10)

Ya ali madad..(2)

Mushkil me hai mushkil se ye bachne ka saliqa..(2)

hai roze azal se  yahi nabiyo ka wazifa


ali ya ali..(4)


naade aliyan mazharal ajaeb..(4)

1. Pehra ilahiyaat pe nade ali ka hai

ek khauf mushkilaat pe nade ali ka hai

saaya ajaebaat pe nade ali ka hai


ehsaan kayenaat pe nade ali ka hai

hai wird dhadkano ka yahi ya ali madad

nade ali se waqf bani ya ali madad


ali ya ali..(4)


2. Wo kaun hai ali ne kaha hai jise ali

jiske qadam qadam se lipat kar wafa chali

jisne sipahe shaam se har saans cheenli

ummul bani ka chaand wo waliyo ka hai wali


kehti hai karbala ye ta'arruf usi ka hai

abbas naam dusra nade ali ka hai

abbas alamdar..(2)

abbas alamdar shehenshahe madina


abbas alamdar..(2)

3. Bedast jab ye sher gira farsh e khaak par

khaime ki simt sharm ke maare na ki nazar

ek aah bhari aur, kaha aaqa alvida


kehne lage husain kamar apni thaam kar


naade aliyan..


4. Us din laraz rahe the zameen aur aasmaan

khaime se dekhti rahi kadiyal jawa ki maa

sheh khaichte the sinae akbar se jab sina

bano ke kaanpte hue hoto'n pe tha rawaa


naade aliyan..


5. Dhalne lagi jo daste musibat me dopahar

sajde me the husain sitamgar tha pusht par

ek bibi thi tawaf jo karti thi nange sar

zainab tadap ke reh gayi manzar ye dekh kar

ankho me bekasi ka andhera sa chhaa gaya

besakhta zabaan pe zainab ki aagaya


naade aliyan..


6. Tey hai ye baat mir takallum wo aaenge

naade ali ka daur jaha ko dikhaenge

jis roz izn fatema zehra ka paenge

maula ye keh ke pardae ghaibat uthaenge


awwalona mohammad

awsatona mohammad

akheruna mohammad

wa kulluna mohammad


man kunto maula hu fahaza aliyun maula..(2)


ali ya ali ..(3)