dekh kar bekasi bhateeje ki boli roro zainabe naashaad
ab na barsaao pusht par kode mar na jaaye kahi'n mera beemaar
har lamha kodo ki aziyat durro ki uftaad
haaye mere beemaar ki ghurbat kis se kare'n faryaad
sab raste kaanto se bhare hai chalna hai dushwaar
touqe gira'n hai gardan me aur pairo me zanjeer
sar hai jhukaae sharm ke maare ibne shahe dilgeer
saath haram hai beparda aur shaam ka hai baazaar
sabr ke aye ayyub tumhaare paas kahan tasweere'n
dhoop hai aisi jalne lagi hai lohe ki zanjeere'n
saare badan me pad gaye chaale haaye mera beemaar
qaide sitam me mout jo aayi binte shahe muztar ko
qoon bhare kurte me ye keh kar dafn kiya qwaahar ko
tujhko kafan bhi de nahi sakta bhai na laachaar
thaam ke bedi waqte safar ro ro ke kaha moula ne
kaise katega shaam ka rasta ye to khud hi jaane
aisi hai kuch zoufe naqaahat chalna hai dushwaar
mumkin hai moula ne kaha ho laashe jari ke paas
dekh sako to dekhlo uth kar mere chacha abbas
aapka beta banke chala hai kunbe ka saalaar
sharm mujhe khaaye jaati hai kaash abhi mar jaau
us manzar ko dekh saku wo taab kahan se laau
be parda hai maa behne aur shaam ka hai baazaar
shaam ki jaanib kaise chali thi paighambar ki aal
kaise padhega amir isko kaise likhega bilaal
aage aage naize par tha farqe shahe abraar