panjetan laashe musa raza par ro rahe hai
inso jinno malak peet kar sar ro rahe hai
aaj mash'had me hai shor barpa wa raza ka aur azadar hai barehna sar ro rahe hai
uthgaya sar se aaqa hamara ya aliyaa
aaj har ghar me shia ye keh kar ro rahe hai
kya adaawat thi zalim ko aqir dediya zehr
gham me pote ke shabbiro shabbar ro rahe hai
koi tujh par na tha rone wala shaahe waala
haye aaqa teri bekasi par ro rahe hai
ho gaya hai yateem aaj aaqa bekasou ka
aaj ke din taqi peet kar sar ro rahe hai