kehte thay ye abid e muztar
paon mein chaale hai paon mein chaale hai
dushman hai raste ka manzar
paon mein chaale hai paon mein chaale hai
kitni aziyat kitni bechaini hai kahe kis se
padti hai har gaam pa thokar
paon mein chaale hai paon mein chaale hai
kehte thay ye...
haathon mein hatkadiyan hai aur tauq hai gardan mein
saath mein hai beparda bhara ghar
paon mein chaale hai paon mein chaale hai
kehte thay ye...
pair utha kar rakhte hai to hoti hai takleef
jalti reti aur baraabar
paon mein chaale hai paon mein chaale hai
kehte thay ye...
kaise rasta chalte hai sajjad zara socho
durron ki chotein hai badan par
paon mein chaale hai paon mein chaale hai
kehte thay ye...
ek badan hai do takleefein aur akele hum
dard kisi se dil ke andar
paon mein chaale hai paon mein chaale hai
kehte thay ye...
kitni pareshani hoti hai rasta chalne mein
charon taraf kaanton ki chadar
paon mein chaale hai paon mein chaale hai
kehte thay ye...
karbobala se shaam ki raahein kitni mushkil hai
dhoop ki garmi tapte pathar
paon mein chaale hai paon mein chaale hai
kehte thay ye...
kaise kare sajjad ki kaifiyat ko raqam ishrat
peet pa durre jism hai laaghar