qasim ki laash par kabhi asghar ki laash par
abbas jaise nek baradar ki laash par
sheh ro rahe hai dasht may akbar ki laash par
laila ki hasraton ka janaza hai saamne
zainab ki mehnaton ka janaza hai saamne
sheh ro rahe hai dasht may akbar ki laash par
qasim ki laash par...
kubra pa do musibatein aayi hai ek saath
shauhar ke baad bhai se dhona pade hai haath
sheh ro rahe hai dasht may akbar ki laash par
qasim ki laash par...
zainab ne jis ko paala tha athara saal tak
hamraah jis ko rakha tha daur e kamaal tak
sheh ro rahe hai dasht may akbar ki laash par
qasim ki laash par...
peeri may naujawan ka laasha hai saamne
ujdi hui bahaar ka naksha hai saamne
sheh ro rahe hai dasht may akbar ki laash par
qasim ki laash par...
aa kar ajal ne baandh diye haath kya kare
kadiyal jawan chod diya saath kya kare
sheh ro rahe hai dasht may akbar ki laash par
qasim ki laash par...
laila zameen pa baithi hai qaime may beqaraar
sab jaanti hai phir bhi hai bete ka intezaar
sheh ro rahe hai dasht may akbar ki laash par
qasim ki laash par...
sajjad jao baap ko jaa kar sambhaal lo
barchi ki nok seene se jaa kar nikaal lo
sheh ro rahe hai dasht may akbar ki laash par
qasim ki laash par...
jab ye suna ke hogaya akbar ka inteqaal
zehra bhi ran may aagayi bikhra ke apne baal
sheh ro rahe hai dasht may akbar ki laash par
qasim ki laash par...
ishrat qayam e shaah may kohraam hai bapa
sar peet'ta hai qaime may kunba rasool ka
sheh ro rahe hai dasht may akbar ki laash par
qasim ki laash par...