raahate mann akbar
aaye hai dasht mein akbar ke khareeb jab maula
roye us waqt tadap kar ke bahot shaahe huda
apne rukhsar ko rukhsar e ali akbar par
rakh ke kehne lage haye meri ujdi dunya
raahate mann akbar...
ay mere noore nazar ay mere lakhte jigar
ay mere lakhte jigar ay mere noore nazar
baad nana ke mere dil ko kahan chain mila
jab bhi yaad aate thay mujhko mai tadap jaata tha
tum thy hamshakle nabi is liye mere dil ko
tere chehre ki ziyarat se sukoon milta tha
raahate mann akbar...
beta maa baap ki aankhon ka ziya hota hai
dil ho majrooh to wo dil ki dawa hota hai
apne baba ko zaeefi mein na chodo akbar
utho peeri mein jawan laal asaa hota hai
raahate mann akbar...
ay mere noore nazar ay mere lakhte jigar
ay mere lakhte jigar ay mere noore nazar
meri tooti hai kamar koi nahi hai mera
tera baba yahan majboor bahot hai beta
ghutniyo chal ke mai aaya hoon yahan tak akbar
kaise le jaunga qaime mein tumhara laasha
raahate mann akbar...
aankhein kholo zara dekho mujhe ay mere pisar
apne baba ki khabar lijiyo ay jaane pidar
hogaya hoon mai yahan itna ghareeb ay akbar
meri ghurbat pe layeen haste hai ay noore nazar
raahate mann akbar...
ay mere noore nazar ay mere lakhte jigar
ay mere lakhte jigar ay mere noore nazar
ay ali us ghadi maqtal mein ajab manzar tha
ghurbate shaahe huda roti thi mehshar tha bapa
aasman rone laga arze bala hilne lagi
apne seene se laga karke jo maula ne kaha
raahate mann akbar...
ay mere noore nazar ay mere lakhte jigar
ay mere lakhte jigar ay mere noore nazar