Kanz e Aza

Amma Lahoo Luhan

A noha for Safar e Imam Hussain, written by Ali Mohd. Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

amma haye amma


jaane laga watan se jo kunba hussain ka

nana ki qabr se huwe rukhsat shaahe huda

bhai ki qabr pe padha bhai ne marsiya

wan se hua jo turbate zahra ka saamna

maa ki lehad pe chal ke gaye ghutniyo hussain

lipte hai maa ki qabr se karte huwe ye bain


amma haye amma amma haye amma

amma lahoo luhaan chaman dekhne chalo

zainab ke baazuon mein rasan dekhne chalo


jis mein mai apne godh ke paalon ko ro'unga

aur khud bhi sar kata ke mai jis ban mein so’unga

amma hamare saath wo ban dekhne chalo

zainab ke baazuon mein...

amma lahoo luhaan chaman...


qasim ko mere aise karenge wo payemal

tukdon mein leke aayega chaadar mein tera laal

amma wo laashe ibne hassan dekhne chalo

zainab ke baazuon mein...

amma lahoo luhaan chaman...


naiza jahan lagega mere naujawan ko

teer e sitam lagega jahan bezaban ko

rakh kar ke haath dil pe wo ran dekhne chalo

zainab ke baazuon mein...

amma lahoo luhaan chaman...


khud aap jis ke naaz uthaati thi raat din

pani ka jaam laa ke pilaati thi raat din

karbal mein usko tashna dahan dekhne chalo

zainab ke baazuon mein...

amma lahoo luhaan chaman...


ghode pe jab sambhal na sakega tera hussain

zakhmon se choor ho ke girega tera hussain

teeron pe apne laal ka tan dekhne chalo

zainab ke baazuon mein...

amma lahoo luhaan chaman...


zaalim tere hussain pe dhayenge sakhtiyan

amma ye tod daalenge meri bhi phasliyan

tukdon mein mera saara badan dekhne chalo

zainab ke baazuon mein...

amma lahoo luhaan chaman...


ro kar ali ye shaah ne ki maa se iltejaa

ud ud ke mere sogh mein wo khaake karbala

kaise banegi mera kafan dekhne chalo

zainab ke baazuon mein...

amma lahoo luhaan chaman...


amma haye amma

amma meri amma


qaimon mein aa ke aag lagayenge ashqiya

qaidi meri behan ko banayenge ashqiya

zainab ko mere baad satayenge ashqiya

chadar bhi cheen lenge rulayenge ashqiya

zaalim nabi ki aal ko dar dar phirayenge

paidal chala ke shaam talak le ke jayenge


amma lahoo luhaan chaman dekhne chalo

zainab ke baazuon mein rasan dekhne chalo