Kanz e Aza

Ek Musafir Watan

A noha for Safar e Imam Hussain. Lyrics in Roman Urdu.

shor e matam hai aah o buka hai

ya elaahi ye kya maajera hai


ek musafir watan se chala hai

shehr bhar kis liye ro raha hai


ranj o hasrat jo hadh se siwa hai

ek mareeza ko ghash aagaya hai

gham ki maari musibat zada hai

chota bhai abhi chut gaya hai

ek musafir watan...


uff ye sannata bojhal faza hai

rehnuma e sadaqat chala hai

aage aage rawan khaafila hai

peeche peeche koi ro raha hai

ek musafir watan...


sheh ne ham rahiyon se ye poocha

bolo kya naam hai is jagah ka

doston ke labon par ye aaya

karbala karbala karbala hai

ek musafir watan...


saaye saaye hawa beh rahi hai

ek behen bhai se keh rahi hai

kaun dukhiyari gham seh rahi hai

dekhna bhai kis ki sada hai

ek musafir watan...


kyun qayamat bapa ho rahi hai

kya hua hai jo jaan kho rahi hai

karb se aise maa ro rahi hai

jaise baccha abhi mar gaya hai

ek musafir watan...


sun ke shaahe umam ne bataya

tum ne ab bhi na pehchana lehja

ye hai maadar hamari azeeza

jin ki awaaz hi marsiya hai

ek musafir watan...


raasta saara ro kar guzara

lab pe faryad thi haye baba

kis liye zaalimon ne sataya

mere bacche ki taqseer kya hai

ek musafir watan...


yaad kije wo gham naak manzar

shimr e bad bakht kheenche hai khanjar

dekhiye qatl hote hai sarwar

godh mein maa ne sar rakh liya hai

ek musafir watan...