dhal na jaaye raat
qaima qaima ek sada hai allah khair kare
pyason ke lab par ye sada hai allah khair kare
har bibi hai zeb e musalla aankhon mein hai ashk musalsal
dil ki dhadkan mehwe buka hai allah khair kare
qaima qaima ek sada hai...
hai shabe ashoor ka manzar roti hai namoose payambar
raat guzarne par ye sada hai allah khair kare
qaima qaima ek sada hai...
kitni hasrat se bhai ko dekh rahi hai saani e zehra
jaane khwaab mein kya dekha hai allah khair kare
qaima qaima ek sada hai...
dekh ke mashriq ki jaanib kehti hai bhai se zainab
aaj ye suraj kya kehta hai allah khair kare
qaima qaima ek sada hai...
dekh ke roti hai bano jhoole mein asghar ka chehra
jaise jhoola khud kehta hai allah khair kare
qaima qaima ek sada hai...
kehti hai dil thaam ke laila jee bhar ke akbar ko dekhun
kisko khabar kal kya hona hai allah khair kare
qaima qaima ek sada hai...
likhne se khaasir hai mazhar kaise likhe us raat ka manzar
dil mein gham ka dard utha hai allah khair kare
qaima qaima ek sada hai...