khul gaya mera naseeb jab ghar ashoor khana saja
do jahan ki mili naymatein aur maangu mai kya
mere ghar mein bicha farshe aza aa gayi zehra
qismat pe karun naaz kabhi sajde mau jaaun
har ek azadaar ko ye jaa ke bataun
ro ro ke kiya shukre khuda aa gayi zehra
mere ghar mein bicha...
paaya hai talab se bhi siwa kaisa karam hai
naukar ke bhi naukar pe kiya kaisa karam hai
ghar khuld ghareebon ka bana aa gayi zehra
mere ghar mein bicha...
mai chashme tasavvur se samaa dekh raha hoo
nabiyon ki khatarein bhi yahan dekh raha hoo
taazeem karo ahle wila aa gayi zehra
mere ghar mein bicha...
tanha to nahi aayi hai ghar maadar e shabbir
kulsoom sakina bhi hai aur zainab e dilgeer
dete hai sada zainul-liba aa gayi zehra
mere ghar mein bicha...
purse ke liye aaye yahan sher e khuda bhi
akbar bhi hai qasim bhi hassan sabz qaba bhi
is waqt sar e farshe aza aa gayi zehra
mere ghar mein bicha...
ek marsiya maine jo padha tashna labon ka
jab naam sakina ka mere honton pe aaya
bas naam sakina ka suna aa gayi zehra
mere ghar mein bicha...
paigham to dena hai yehi safdar o mazhar
matam se na sharmao kabhi farshe aza par
purse ke liye ahle aza aa gayi zehra
mere ghar mein bicha...