Kanz e Aza

Ho Salaam Uspe Jo

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ho salaam us pe jo kehti thi mere veer hussain

khaak mein kis ne mila di teri tasveer hussain


apne do beton se sadqa bhi utaara tera

rok paayi nahi mai zulm ki shamsheer hussain

ho salaam us pe jo...


maine sadmo mein bhi choda nahi daaman tera

be-kafan tu raha aur be-rida hamsheer hussain

ho salaam us pe jo...


tera zarbon se gala kaata gaya hai tera

koi batlaye to mujhko teri tafseer hussain

ho salaam us pe jo...


qatl jab tu hua rote thay lehad mein hyder

khaak udaati rahi khud maadar e dilgeer hussain

ho salaam us pe jo...


jo tere halq se jalti hui reti pe gira

karbala hogayi us khoon se tameer hussain

ho salaam us pe jo...


jashn maqtal mein manaate rahe qaatil tere

bain dil thaam ke karti rahi hamsheer hussain

ho salaam us pe jo...


baat ye safdar o mazhar ne kahi dunya se

karbala aaj bhi hai aap ki jageer hussain

ho salaam us pe jo...