Kanz e Aza

Hogi Ziyarat qubool

A noha (2019). Lyrics in Roman Urdu.

Hogi Ziyarat qubool


Hussain.. Hussain.. Hussain

Hussain....

Suno zawwar e hussain ibn e ali

ek mazloom ki awaaz bulati hai tumhe

aao naam tum sabke mere dil pe hai likhe aao

apne maa baap ko is paak safar par lao

kaun is darr ki ziyarat ka sharaf paata hai

jisko abbas bulata hai wohi aata hai


hogi ziyarat qubool


Hogi ziyarat qubool.. insha allah


Hoga raazi khuda.. insha allah


Haan..


Hogi ziyarat qubool..

insha allah, insha allah, insha allah

Hogi ziyarat qubool..

insha allah, insha allah, insha allah


Ek irfan e aza, ek safeer e azaa

Mimbar pe de rahe hai ye sadaa


Eemaan hussain.. wallah

meri jaan hussain.. wallah

qur'an hussain.. wallah

meri pehchaan hussain.. wallah

Wallah wallah ya hussain..(2)


Haan..

Ghar se sue karbobala

Hussain hussain

Leke chalo maa ki dua


Hussain Hussain

Haatho mein ghazi ka alam

karte raho shukr e khuda

janib e manzil ho qadam


nazro mein maula ka haram

lab pe yehi nauha


Eemaan hussain.. wallah

meri jaan hussain.. wallah

qur'an hussain.. wallah

meri pehchaan hussain.. wallah


Hogi raazi khuda..


insha allah, insha allah, insha allah

Hogi ziyarat qubool..

insha allah, insha allah, insha allah


Haan..

Bibi zehra se wada nibhate chalo.... Zawwaro

Har qadam farsh e matam bichate chalo... Zawwaro

Na ho garmi ka ehsaas aur na thakan

karwan e azaa ko badhate chalo


Hogi ziyarat qubool..

insha allah, insha allah, insha allah


Haan..

Mera zawwar haji se kam to nahi.. Zawwaro

Arshe aazam se afzal hai ye sar zamee'n..Zawwaro

Hath khali yaha'n se nahi jaoge

Sar jhukane se pehle ye karlo yaqee'n


Hogi ziyarat qubool..

insha allah, insha allah, insha allah


Haan..

Zaero'n ki hai khidmat guzari sharaf.. Zawwaro

Denge iska sila tumko shahe najaf.. Zawwaro

Mere abbas ke darr pe jaoge jab

ek aawaaz gunjegi charo taraf


Hogi ziyarat qubool..

insha allah, insha allah, insha allah


Haan..

Mai jo kehta hu aye pursa daro suno.. Zawwaro

Apne bachho'n ko bhi ye hi taleem do.. Zawwaro

Karbala aate jaate raho saal bhar

Yaha ashoor aur mera chehlum karo


Hoga raazi khuda.. Insha allah


Insha allah, Insha allah

Haan..

Kya samajhte ho paidal safar ko bhala.. Zawwaro

Is safar mein hai shamil sabhi ambiya.. Zawwaro

Ye safar hai ibadat, shifa'at bhi hai

khuld ko jaa raha hai yehi raasta


Wallah, wallah ya hussain..(2)


Nahi bhulenge azadaar

wada nibhaenge azadaar

sayyedo sardaar sadaa.... Insha allah

Aenge hum karbobala... Insha allah


Mazhar o irfan e aza...Insha allah

Qafele laenge sadaa... Insha allah

Karbobala aake lahu khud ye pukarega


Eemaan hussain.. wallah

meri jaan hussain.. wallah

qur'an hussain.. wallah

meri pehchaan hussain.. wallah

Wallah, wallah ya hussain..(2)


Aye Mohammad ke nawase..

tujhpe lakho salaam....