kitna mazloom hai shabbir suno ahle aza
tera zarbon se gala shimr ne jab kaat diya
bekafan laash ke nazdeek bine saad aaya
choor zakhmon se badan dekh ke bhi dil na bhara
hukm pamaali ka zaalim ne diya ye keh ke
phasliyan toote to awaaz sunayi de mujhe
zehra ka laal hussain hota hai pamaal hussain
sab se wazni hai jo rahwaar unhe bulwao
kuchalne mein jo maahir hai wo ghode lao
mekh paywast karo unke sumon ke neeche
naal bandi karo phir ran mein unhe le aao
laashe sarwar pe se ghodon ko guzaro aise
phasliyan toote to awaaz sunayi de mujhe
zehra ka laal hussain...
zulm itna karo shabbir ke is laashe par
phasliyan toot ke ho jaaye idhar aur udhar
jaise nau laakh ne maqtal mein isay maara tha
ek baar aur isay ghayr ke maaro mil kar
tohfa haakim se mai dilwaunga lekin pehle
phasliyan toote to awaaz sunayi de mujhe
zehra ka laal hussain...
chahta hoon ke isay dhoondhne jab aaye bahan
wo bhi mar jaaye yahan dekh ke ye kuchla badan
khoon hi khoon nazar aaye usay bhai ka
dena chaahe bhi to na de sake wo isko kafan
usne phir paaon rakha seene pe ye kehte huwe
phasliyan toote to awaaz sunayi de mujhe
zehra ka laal hussain...
aag qaimon ko lagaani hai to aage aao
jo madine mein hua zulm wohi dohrao
wahan darwazon pe chalte thay madine waale
tum yahan laash pe se ghode guzaare jao
itni takleef do maa yaad isay aane lage
phasliyan toote to awaaz sunayi de mujhe
zehra ka laal hussain...
shimr ne kaata gala seene pe chad kar uske
khaynchi sannan ne gardan ki ragein naize se
kaati bajdal ne angoothi ke liye ungli bhi
khooli sar le gaya tandoor mein rakhne ke liye
reh gaye thay jo unhe bheja gaya ye keh ke
phasliyan toote to awaaz sunayi de mujhe
zehra ka laal hussain...
kaise zeeshan likhe kis tarha farhan padhe
saare ghode badan e shaah ki jaanib daude
phasliyan toot gayi maa ki tarha bete ki
bekafan laash pe rahwaaron ne jab sum patkhe
pisar e saad yehi kehta raha has has ke
phasliyan toote to awaaz sunayi de mujhe
zehra ka laal hussain...