ye izzatdaar gharana hai
syed sardar gharana hai
malika hai khadija is ghar ki
maalik hasnain ka nana hai
ye izzatdaar gharana hai
saari aayaat e qurani
is ghar ki shaan mein utri hai
ye paak mohamed ka ghar hai
yahan fatema zahra rehti hai
awaaz yahan neechi rakhna
allah ka yeh farmaana hai
ye izzatdaar gharana hai...
jo inka dushman hai us par
allah bhi laanat karta hai
is ghar mein rehne waalon ka
quran mein shajra milta hai
kaaba karta hai salaam usko
is baat ko jis ne maana hai
ye izzatdaar gharana hai...
sardar farishton ka aa kar
is ghar mein jhulata hai jhoola
takht aur taaj ko thukra kar
aayi hai kaneezi mein fizza
naukar jo bhi hai is ghar ka
andaaz uska shahana hai
ye izzatdaar gharana hai...
khaali nahi jaata koi bhi
sab ke daaman bhar jaate hai
jab rotiyan baant'ti hai zahra
yahan aasman waale aate hai
bat'ta hai tabarruk ki surat
is ghar ka jo bhi khaana hai
ye izzatdaar gharana hai...
jis ghar par ho ghazi ka alam
karti hai fatema zehra karam
hum log hussaini hai chath par
kyun na lehraye ye parcham
ye alam lagane ka maqsad
dunya ko ye batlana hai
ye izzatdaar gharana hai...
sadqa ye diya hai bachon ka
bibi ne apne naukar ko
farhan inhi ki majlis ne
zeeshan banaya hai ghar ko
mera ghar koi aam nahi is mein
zahra ka aana jaana hai
ye izzatdaar gharana hai...
izzat jo badi thi to
musibat bhi badi thi
jo ghar tha mohamed ka
wahan aag lagi thi
izzat bhi badi ghurbat bhi badi
jis dar pe nabi karte thay salaam
us darwaze ko jalaya gaya
izzat bhi badi ghurbat bhi badi
kaabe mein zahoor hua jiska
masjid mein usko qatl kiya
izzat bhi badi ghurbat bhi badi
pehlu mein nabi ke jo tha pala
wohi pehlu mein na dafn hua
izzat bhi badi ghurbat bhi badi
jise khuld se kapde bheje gaye
be-kafn raha uska laasha
izzat bhi badi ghurbat bhi badi
jo ghar kausar ka maalik tha
usay dasht mein pyasa maar diya
izzat bhi badi ghurbat bhi badi
qayam tha parda jinse unhe
bazaar mein laaye be-parda
izzat bhi badi ghurbat bhi badi
hai jin ke sadqe mein dunya
un pe sadqa phaynka gaya
izzat bhi badi ghurbat bhi badi
azaad karaye jo qaidi
haye wo gharana qaid hua
izzat bhi badi ghurbat bhi badi