haan karo matam hussain ka
zahra ke chain ka maula hussain ka
matam karo
farsh bicha lo halqa bana lo
ye keh raha hai maahe aza
hussain hussain maula maula hussain
ye azadari taaziya daari
zahra ke ghar se hai wafadari
aansu baha kar nauhe suna kar
karte rahenge ye pursadari
jab tak hamari saansein hai baaqi
dil se ye gham na hoga juda
haan karo matam hussain ka...
ye jo hamare ghar pe alam hai
shaahe wafa ka hum par karam hai
saaye mein is ke matam karenge
jitna hamare seeno mein dam hai
farsh aza ka bichta rahega
kehte rahenge hum ye sada
haan karo matam hussain ka...
ye matami jo halqa laga hai
thok ke seena ye keh raha hai
matam se hum ko roke na koi
zainab se hum ne waada kiya hai
seene pe daaghe matam saja ke
karte rahenge waada wafa
haan karo matam hussain ka...
ahle haram ko aur unke gham ko
bhool na jaana tum is karam ko
jis ne khuda se maanga tha ghazi
us fatema ne maanga hai hum ko
hai khush naseebi hum hai hussaini
aur hai dua e khairunnisa
haan karo matam hussain ka...
zahra ho raazi matam ho aisa
jo is ka haq hai pursa ho waisa
khud ko bhula kar matam karo tum
ay azadaron sharmana kaisa
hai ye ibadat chodo nazakat
ban kar faqeer e karbobala
haan karo matam hussain ka...
sun kar bichao gham ka musalla
hayya alal aza hayya alal aza
haath hamare ban kar namazi
karte rahenge seene pe sajda
baad e iqaamat karna ye niyyat
qurbatan ilash shahe wafa
haan karo matam hussain ka...
qaid e sitam se paa ke rihaai
har bibi apne pyaron ko royi
us waqt lekin beti ali ki
bachon ko apne bilkul na royi
chote se haye do sar jab aaye
bibiyon se zainab ne kaha
haan karo matam hussain ka...
ghar ghar mein matam ki jo sada hai
ye ehtejaaj e karbobala hai
baatil ke moo pe hai ye tamacha
isne hi haq ko zinda rakha hai
zeeshan hum ko darwesh e gham ko
bedaar rakhti hai ye sada
haan karo matam hussain ka...