Dua Dengi Tumhe Zahra Karo Matam Shaheedo Ka
hai Lene Ko Yaha Pursa Karo Matam Shaheedo Ka
01. Saliqa Majlis E Shah Ka
ata E Zainab E Kubra
hai Momin Ke Liye Tohfa Karo Matam Shaheedo Ka
02. Kabhi Bhulo Na Is Gham Ko
uthao Haath Maatam Ko
karam Abbas Ka Hoga Karo Matam Shaheedo Ka
03.alam Yu Hee Uthao Tum
yuhi Aansu Bahaao Tum
bahaao Tum Lahu Apna Karo Matam Shaheedo Ka
04.kiya Wo Zulm Aada Ne
kate Abbas Ke Shaane
wo Saqqa E Sakina Tha Karo Matam Shaheedo Ka
05. Wo Farwa Ka Dulara Tha
badan Tukde Hua Jiska
ho Matam Uski Shaadi Ka Karo Matam Shaheedo Ka
06. Tha Laila Ka Jawaan Beta
wo Hamshakle Payambar Tha
laga Tha Qalb Me Naiza Karo Matam Shaheedo Ka
07.wo Kamsin Tashnalab Asghar
laga Tha Teer Gardan Par
hai Jhula Khali Ab Uska Karo Matam Shaheedo Ka
08. Gharane Par Muhammad Ke
huwe Haaye Sitam Kaise
luta Ek Din Me Ghar Saara Karo Matam Shaheedo Ka
09. Badi Nemat Mili Hamko
badi Izzat Mili Hamko
ye Sab Ehsaan Hai Uska Karo Matam Shaheedo Ka
10. Rasheed Ab Waaris E Gham Ko
adab Se Pesh E Pursa Ho
yahi Hai Apna Nazrana Karo Matam Shaheedo Ka