Yaa Maula Yaa Sajjad
karbal Ki Sar Zameen Par Kaisa Sitam Huwa Hai
khoon Ro Rahi Hai Zainab,beemar Ghamzada Hai
1-maare Gaye Hai Ran Me Jafer Ke Dono Dilbar
kehti Hai Bibiya Ye Aansu Baha Baha Kar
binte Ali Ka Ran Me Gulshan Ujad Gaya Hai
khoon Ro Rahi Hai Zainab,beemar Ghamzada Hai
2-farwa Ka Laal Qasim Shabbar Ka Laadla Hai
baandhe Huwe Jo Sehra Maidan Ko Gaya Hai
aada Ne Isko Ran Me Pamaal Kardiya Hai
khoon Ro Rahi Hai Zainab,beemar Ghamzada Hai
3-sughra Ki Aarzu Thi Akbar Ka Dekhe Sehra
kaise Ise Bataun Puche Jo Mujhse Dukhya
apne Hee Khoon Me Ghalta Hamshakle Mustafa Hai
khoon Ro Rahi Hai Zainab,beemar Ghamzada Hai
4- Yu Sar Pe Bawafa Ke Gurze Sitam Laga Hai
bedast Hoke Ghazi Ghode Se Gir Raha Hai
manzar Ye Dekh Kar Khoon Darya Bhi Roraha Hai
khoon Ro Rahi Hai Zainab,beemar Ghamzada Hai
5- Wo Che Mahine Wala Wo Sheerkhar Asghar
nusrat Ko Jo Gaya Tha Shah Ki Sada Ko Sunkar
gardan Pe Teer Khaker Dunya Se Chal Basa Hai
khoon Ro Rahi Hai Zainab,beemar Ghamzada Hai
6-maqtal Ki Garm Reti Zakhmo Se Chur Lasha
kis Tarha Se Na Jane Manzar Ye Maa Ne Dekha
shimr E Laeen Ne Sheh Ke Sar Ko Juda Kiya Hai
khoon Ro Rahi Hai Zainab,beemar Ghamzada Hai
7-be Ghuslo Be Kafan Hai Baba Ka Mere Laasha
majboor Mai Hu Kaise Samaan Dafn Hoga
beemar Karbala Me Ro Ro Ke Kehraha Hai
khoon Ro Rahi Hai Zainab,beemar Ghamzada Hai
8-gardan Bhi Kat Rahi Hai Tauq E Gira Se Meri
zanjeer Kar Rahi Hai Sare Badan Ko Channi
durre Har Ek Kadam Par Zaalim Laga Raha Hai
khoon Ro Rahi Hai Zainab,beemar Ghamzada Hai
9- Na Jaane Kaise Kaise Manzar Nazar Me Leker
shahzaadiya Khadi Hai Sar Par Nahi Hai Chadar
darbar E Sham Me Ab Mehshar Ka Samna Hai
khoon Ro Rahi Hai Zainab,beemar Ghamzada Hai
10-nauha Jo Tune Likha Abbas Ka Karam Hai
har Lafz Aye Mujahid Mehwe Ghamo Alam Hai
sun Kar Ye Nauha Sabke Dil Ki Yahi Sada Hai
khoon Ro Rahi Hai Zainab,beemar Ghamzada Hai
ya Maula Ya Sajjad Ya Maula Ya Sajjad