MASHHAD KI FIZAAO MEIN HAI EK HASHR SA BARPA – YA SHAH-E-KHURASAA’N
BEHTA HUWA HAR AANKH SE HAI ASHKON KA DARIYA – YA SHAH-E-KHURASAA’N
Kya aalam-e-ghurbat mein ajal aap ko aayi – Roti hai khudaye
Kaisa ye asar aap pe hai zehre dagha ka – Ya Shah-e-Khurasaa’n
Moula mere wo aap ka reh rehke tadapna – Woh zeher ki eza
Saanso ki ghutan muse ugalna wo kaleja – Ya Shah-e-Khurasaa’n
Ye Zulm ki had shiddath-e-gham karb ka alam – Hai khalq mein matam
Duniya-e-aqeedat mein qayamat huwe barpa – Ya Shah-e-Khurasaa’n
Kya zulm huwa aap pe Ya Zamin-o-Samin – Aafat ke hain ye din
Hai Toos ki galiyo mein har ek simt ye charcha – Ya Shah-e-Khurasaa’n
Tadfeen ko aaye the Taqi aap ke dilbar – Kounain ke rehbar
Kis shaan ki tadfeen ka saaman huwa tha – Ya Shah-e-Khurasaa’n
Matam hai Sohail aaj ghareeb-ul-ghuraba ka – Har simt hai girya
Sab Ahle Khurasaa’n ke labo par hai ye nauha – Ya Shah-e-Khurasaa’n