BALA KE DASHT MEIN GOONJI YE FATEMA KI SADA
TUJHE LAYEENON NE MEHMAAN BULA KE QATL KIYA
MERE GHAREEB HUSSAIN MERE SHAHEED HUSSAIN
Chali zamane mein zulm-o-sitam ki jab aandhi
Huwi hai istarha to qabr Aale Ahmed ki
Rahana koi behtar mein asr tak baqi
Tumhara ghodon se pamaal hogaya lasha
Sada di jis ghadi Qasim ne jald aao chacha
Tha intezaar mein dulha zamee’n par baitha
Wo tera Lasha-e-Qasim pe daurd kar jaana
Pohunch ke lash pe tera wo karna aa-o-buka
Mila hai khak mein Laila ke hasrato’n ka jaha’n
Na jane kis tarha dekha lahu jigar se rawaa’n
Wo layee kis tarha maqtal se tum ne lashe jawaa’n
Bas aik din mein tera saara ghar ka ghar ujda
Khuda ki raah mein jis dam chale Ali Asghar
Sawaale aab pe wo khaye teer garden par
Sitam ki had se bhi aage tha zulm ka lashkar
Tadap ke reh gaya hathon pe nanha sa lasha
Rahana jis ghadi lashkar ka Bawafa Abbas
Jari ke marne se phir bhjh saki kabhi na pyas
Ke jiske paas mein rehne se thi haram ki aas
Tujhe wo chord ke bas sogaya labe darya
Ajeeb tha Shame Gharebaa’n ke karb ka manzar
The run mein bikhre huwe lashe jalti reti par
Na paas Aon-o-Mohammed na Qasim-o-Akber
Tumhare baad cheni sar se bibiyo’n ki rida
Sohail haq ki sada hai Hussain ka ye gham
Bahao ashq karo gham mein khoon ka matam
Yehi to ashq hain Sarwar ke zaqmon ka marham
Baroze hashr hai sab ke lab pe ye Nauha