mere haalaat suno mere jazbaat suno
jis waqt nazar sar ki padhi apne badan par
dekha ke saja zakhmon se hai wo tane athar
na gor mayassar na kafan ke liye chaadar
goya hua tab apne badan se sar e sarwar
kya haal mere baad hua kuch to bata de
kya guzri badan tujhpe wo ehwaal suna de
mere haalaat suno mere jazbaat suno
nagaah badan par hua ek larza sa taari
jo zakhm thay sab phat gaye khoon hogaya jaari
kehne laga wo sar se ye ba girya o zaari
ay sar bani purdard hai taqdeer hamari
tu naize pe quran suna ta jo chala tha
ghodon ne mujhe dasht mein paamal kiya tha
mere haalaat suno...
jalti hui reti ne mujhe dhaampna chaaha
mujh par pare jibreel bhi karne laga saaya
suraj ne tamazat ko bahot apni ghataya
par nana ki ummat ne kafan bhi na udhaya
mai khaak pe jalta raha roti rahi zehra
sadqe mere is haal pe hoti rahi zehra
mere haalaat suno...
teeron pe muallaq tha kahan mai tha zameen par
ghurbat pe meri tadpa bahot laasha e akbar
phir baad mein wo teer huwe seene se baahar
acha hua us waqt na thi seene pe dukhtar
sab teer guzar jaate sakina ke badan se
gir jaata falak farsh pe is ranj o mahan se
mere haalaat suno...
sab khaafila ruqsat hua mai reh gaya tanha
phir jashne safar dasht mein karne lage aada
abbas ka laasha jo pada tha labe darya
wo bhi meri mazloomi pe khud nauha kuna tha
is jism pe ay farqe jafa baade qaza thi
ay sar tu bata shaam ki kya aab o hawa thi
mere haalaat suno...
ye sunke sar e shaah se khoon hogaya jaari
lab hilne lage dasht mein larza hua taari
sar bola na sun payega roodad hamari
wo raahe musibat badi mushkil se guzari
manzar wo alam naak meri aankhon ne dekhe
dushman ko bhi dikhlaye na allah wo lamhe
mere haalaat suno...
zainab ke khule sar pe baraste rahe patthar
thi zad pe tamachon ke sakina meri dukhtar
sajjad pe durron ki thi barsaat barabar
badta tha sitam aur jo mai kehta tha ro kar
ay zaalimon dekho meri bacchi ko na maaro
kuch dayr ko sajjad ka ye tauq utaaro
mere haalaat suno...
rakha gaya jis waqt mujhe tashte tala mein
sar nange haram aaye thay darbare jafa mein
kuffaar ki sab aurtein baithi thi rida mein
beparda behen meri thi darbare bala mein
dandaan pe chadi maar ke zaalim ye pukara
awaaz do kyu aata nahi sher khuda ka
mere haalaat suno...
dam tod'te maine to sakina ko hai dekha
zindan mein marqad meri bacchi ka bana tha
kuch ghusl o kafan bhi nahi paaya tha uska
chipka jo badan se to utarta na tha kurta
aankhon mein meri ye jo lahoo dekh raha hai
ye haal sakina ke janaze pa hua hai
mere haalaat suno...
ye guftugu sar aur badan mein jo hui thi
karbal ki zameen aur fiza kaamp rahi thi
roodad e sitam jism pe aur sar pe likhi thi
godhi mein liye sar jo khadi binte ali thi
ay shams wo laashe jo sar e dasht padhe thay
aamir wo gham o ranj se sab kaamp rahe thay
mere haalaat suno...