Kanz e Aza

Mere Khanjar Dekha

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Raza Akhtari. Lyrics in Roman Urdu.

ek behan bhai ke maqtal ka wo manzar dekha

haye zainab ke galay par mere khanjar dekha


asr ka waqt hai tanha hoon saath hai na koi

meri maa khuld se bete ko bachane aayi

tujhe girte huwe zeen se zameen par dekha

haye zainab ke galay par...


mere rone pe khushi se wo layeen hasta raha

kund khanjar se mera sar wo zibha karta raha

shimr ke haathon mein zainab ne mera sar dekha

haye zainab ke galay par...


kahin se teer koi naize kahin se bhaale

jis ko kuch bhi na mila us ne pathar maare

meri mazloomi ko zainab ne bhi ro kar dekha

haye zainab ke galay par...


inteha hai ke ye chode na mere kurte ko

ek angoothi ke liye kaate meri ungli wo

ek ek zulm ko khwahar ne tadap kar dekha

haye zainab ke galay par...


dhoondte dhoondte maqtal mein jo aayi zainab

sab ke laashon ke darmiyan gir gayi zainab

mere nazdeek mein jab laasha e akbar dekha

haye zainab ke galay par...


akhtari naize pe jab aagaye saqqa e haram

uska sar naize se girta tha khaak par paiham

khud ko jab bhai ke naize ke barabar dekha

haye zainab ke galay par...