Kanz e Aza

Mere Laal Hussaina

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mohib Fazli. Lyrics in Roman Urdu.

maa aayi hai mazloom mere laal hussaina

aaja meri aaghosh may behaal hussaina


maqtal may baqiyya se thi jis waqt mai pahunchi

ghodon se teri laash thi pamaal hussaina

mere laal hussaina mere laal hussaina

maa aayi hai mazloom...


hae hae mere bete ka badan khoon may tar hai

aulaad e payamabar ke ujadne ki khabar hai

poshak hai zakhmon se teri laal hussaina

mere laal hussaina mere laal hussaina

maa aayi hai mazloom...


mai hogayi barbaad qayamat ki ghadi hai

be-gor o kafan ran may teri laash padi hai

ghurbat may tera hogaya kya haal hussaina

mere laal hussaina mere laal hussaina

maa aayi hai mazloom...


phat jaaye na sadme se kahin maa ka kaleja

aankhein tu zara khol de maa ayi hai beta

baahon ko galay may tu mere daal hussaina

mere laal hussaina mere laal hussaina

maa aayi hai mazloom...


na zeen pe laasha hai tera aur na zameen par

aaja ay mere laal ke sar zaanu pa rakh kar

baandhungi tere sar pe mai rumaal hussaina

mere laal hussaina mere laal hussaina

maa aayi hai mazloom...


zainab ko rida tujhko kafan bhi na milega

ghurbat pe teri royegi ta hashr ye dukhiya

kholungi teri laash pe mai baal hussaina

mere laal hussaina mere laal hussaina

maa aayi hai mazloom...


ye khaule payambar hai mohib mit na sakega

ek khaum zamane may khuda khalq karega

gham tera manayegi jo har saal hussaina

mere laal hussaina mere laal hussaina

maa aayi hai mazloom...