Kanz e Aza

Rok Sakte Nahi Sholay

A noha written by Mohib Fazli. Lyrics in Roman Urdu.

rok sakte nahi sholay bhi azadaron ko

apne talwon se bujha dete hai angaron ko


kam na sab saahib e kirdaar nahi ho sakta

yaad karte hai wafadar wafadaron ko

rok sakte nahi sholay...


dushmani kar ke shahe deen se laanat ke siwa

kya mila taqt o hukumat ke tarafdaron ko

rok sakte nahi sholay...


hum munafiq ko munafiq hi kaha karte hai

tumne likha hai musalman riyakaron ko

rok sakte nahi sholay...


khud nahi jhukta zamane ko jhukata hai hussain

kaun samjhaye ye bayyat ke talabgaron ko

rok sakte nahi sholay...


baksh jaane ke liye sheh ki nazar kaafi hai

khuld mil jaati hai hurr jaise gunahgaron ko

rok sakte nahi sholay...


bekafan laasha e shabbir ko zainab royi

roye sajjad bahot shaam ke bazaaron ko

rok sakte nahi sholay...


ghame shabbir muhib sab se badi daulat hai

aur kya chahiye is dar se azadaron ko

rok sakte nahi sholay...