rokar sakina shaam ke zindan mein mar gayi
bano ke dil pe goya qayamat guzar gayi
aale nabi pe tooti qayamat ye shaam mein
abbas ki chaheeti sakina guzar gayi
rokar sakina shaam ke…
shimre layeen ne cheene thay gohar kuch is tarha
nanhi kameez khoon mein sakina ki bhar gayi
rokar sakina shaam ke…
zainab tadap ke reh gayi poocha sakina ne
sar se phupi tumhare rida kyun utar gayi
rokar sakina shaam ke…
naiza ruka pukara sare shaahe karbala
zainab karo talaash sakina kidhar gayi
rokar sakina shaam ke…
zindan mein jab sakina ne paaya sare hussain
moo par padar ke moo ko rakha aur mar gayi
rokar sakina shaam ke…
ab to yazeed soyega raaton ko chayn se
roti thi roz o shab jo wo bachi guzar gayi
rokar sakina shaam ke…
karbobala se shaam ke darbar tak zaki
sabr o raza ke saath sakina guzar gayi
rokar sakina shaam ke…