Kanz e Aza

Roke Zindan Me Yeh Kehti Thi Sakina Baba

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), recited by Anjuman e Masoomeen. Lyrics in Roman Urdu.

Roke Zindan Me Yeh Kehti Thi Sakina Baba

aapke Baad Gawaara Nahi Jeena Baba

1. Neend Aati Nahi Din Raat Yu'nhi Roti Hoo'n

yaad Aata Hai Mujhe Aap Ka Seena Baba


2. Bhai Sajjad Ka Bistar Mere Gouhar Cheene

kya Yateemo Ko Yu'nhi Dete Hain Pursa Baba


3. Kaan Se Khoon Tapakta Hai Mere Shanou'n Par

is Tarah Shimr Ne Gauhar Mere Cheene Baba


4. Karbala Se Jo Chali Shaam Ke Zindaan Talak

mujh Ko Jee Bhar Ke Layeenou'n Ne Sataya Baba


5. Pusht Par Oont Ki Bandhey Thay Sitamgar Mujhko

us Aziyat Se Hain Zakhmi Mera Seena Baba


6. Mojiza Dekh Ke Haira'n Tha Har Ek Bani-e-shar

aap Ka Sar Meri Godi Mai Jo Aaya Baba


7. Aap Ki Beti Pay Us Waqt Qayamat Guzri

us Ko Haakim Ne Kaneezi Me Jo Ma'nga Baba


8. Mere Ammu Se Kaho Aake Chudaye'n Jaldi

mujh Ko Kha Jayega Zinda'n Ka Andhera Baba


9. Aap Aajaye'n Toh Zinda'n Me Ujala Hoga

mujh Pay Ehsa'n Ye Bada Aap Ka Hoga Baba


10. Qalbey Saber Ko Ise Sunke Tasalli Hogi

jab Padha Jayega Mazher Ka Yeh Nouha Baba