sun meri dukhya aye fatima soughra
soughra se baya'n karte the ye syede waala- aye fatima soughra
beti koi beemaar safar me nahi jaata-aye fatima soughra
aafat ka safar hai ye museebat ka safar hai, ghurbat ka safar hai
jaau to kahan jaau samajh me nahi aata- aye fatima soughra
sar dar pae aazaar hai dushman hai zamana, waada hai nibhaana
kya guzregi mujh par ye bata bhi nahi sakta, aye fatima soughra
mai chord ke jaata hu tujhe aye meri duqtar, kyu hoti ho muztar
aaenge tujhe lene ko akbar tere bhaiya,aye fatima soughra
sehra ki tapish mousame garmi ka safar hai, manzil pe nazar hai
ab waqt wo aaya hai ke jaana hi padega, aye fatima soughra
jaata hu mai awara watan apne watan se, aur rajo mehan se
ab sabr ki manzil se guzarna hi padega,aye fatima soughra