Tha Yeh Abbas Ka Nouha Jab Mere Haath Kate
thitasawwur Me Sakina Jab Mere Haath Kste
1. Jis Ghadi Haath Qalam Hogaye Mere Aaqa
maine Mashkeeze Ko Datou'n Se Sambhala Moula
mashk Ko Teer Ne Cheda Jab Mere Haath Kate
2. Zulm Jo Mujhpa Huve Hain Woh Sunau'n Kaise
ek Shaqi Gurz-e-sitam Maarke Sar Par Mere
mujhko Ghode Se Giraya Jab Mere Haath Kate
3. Kuch Dikhayi Nahi Deta Tha Mujhe Ankhou'n Se
zaqmi Karte The Layee'n Lafzoun Ki Talwarou'n Sse
ashqiya Dete The Taana Jab Mere Haath Kate
4. Dekh Kar Mujh Ko Yeh Kehne Lage Ran Me Aada
lelo Abbbas-e-dilawar Se Ali Ka Badla
sab Ne Milkar Kiya Hamla Jab Mere Haath Kate
5. Koi Naize Se Koi Bhale Se Maara Mujh Ko
naam Shehzadiyou'n Ka Leke Rulaya Mujh Koo
yaad Aaye Mujhe Baba Jab Mere Haath Kate
6. Beh Gaya Mashk-e-sakina Se Jo Saara Paani
mujh Ko Rulwane Lage Aur Sitam Ke Baani
maine Dekha Su-e-khaima Jab Mere Haath Kate
7. Lashkar-e-shaam Ka Har Zulm-o-sitam Seh Seh Ke
sar Ke Bal Jalti Zamee'n Par Mai Gira Ghode Se
naa Mila Mujhko Sahara Jab Mere Haath Kate
8. Barchiyou'n Se Jo Huva Pyaas Me Zaqmi Seena
mujhko Shamsheerein Lagate The Musalsal Aada
mai Bikharta Gaya Moula Jab Mere Haath Kate
9. Arsh Nouhe Ki Sada Arsh Talak Jayegi
gham Zada Hoyenge Jannat Me Bohat Saber Bhi
sunke Royenge Yeh Nouha Jab Mere Haath