aashoor ki shab hai hashr bapa masoom sakina so jaao
ro ro ke na mujhko tadpaana masoom sakina so jaao
mu ashko se dhoti hai koi maidaan me roti hai koi
ye giryae zahra ki hai sada masoom sakina so jaao
aaghosh me maadar ki leto aur baap ke seene ko bhoolo
karte hai ibaadat shaahe huda masoom sakina so jaao
kal koi na hoga aye bibi, ansaar hai baahar ab sab hi
dete hai talaya aaj chacha masoom sakina so jaao
sarwar ki shahadat kal hogi sab ahle haram honge qaidi
kal se na milega chain zara masoom sakina so jaao
pani ka nahi qatra bibi kooze hai pade sab hi qaali
nanha sa bhai asghar hai pyasa masoom sakina so jaao
bewo ki madad ab koun kare, abbas nahi akbar bhi nahi
beemar bhi hai be aabo dawa masoom sakina so jaao