Aayi Nida Gayeb Sar-e-Asr-e-Karbala
Aaye Nafs-e-Mutmayeena Palat Aa Meri Taraf
Is Baat Ka Hai Aayat-e-Quran Me Tezkera
Aaye Nafs-e-Mutmayeena Palat Aa Meri Taraf
1.Teerou Se Chani Chani Badan Hai Hussain Ka
Sukha Howa Aatash Se Dahan Hai Hussain Ka
Aise Me Sajda Dekh Ke Kehta Hai Yeh Khuda
Aayi Nida Gayeb Sar-e-Asr-e-Karbala
Aaye Nafs-e-Mutmayeena Palat Aa Meri Taraf
2.Karbobala Me Kitni Aziyath Uthayi Hai
Hathou Se Nanhe Bache Ki Turbat Banayi Hai
Bache Ke Khoon Se Chehra Bhi Rangeen Hai Tera
Aayi Nida Gayeb Sar-e-Asr-e-Karbala
Aaye Nafs-e-Mutmayeena Palat Aa Meri Taraf
3.Abbas Ke Kaate Howe Baazu Uthaye Hai
Kadhyal Jawan Ke Laase Pe Aansu Bahaye
Todhti Kamar Nazar Ka Oujala Bhi Chalbasa
Aayi Nida Gayeb Sar-e-Asr-e-Karbala
Aaye Nafs-e-Mutmayeena Palat Aa Meri Taraf
4.Kufe Mardala Gaya Muslim-e-Safir
Farzand They Jo Sath Me Wo Bhi Howe Aseer
Jannat Ke Dar Pe Takhte Hai Sab Tera Rasta
Aayi Nida Gayeb Sar-e-Asr-e-Karbala
Aaye Nafs-e-Mutmayeena Palat Aa Meri Taraf
5.Ehsan Deen Par Teri Khurbaniou Ka Hai
Ehsas Har Nabi Ku Pareshaniou Ka Hai
Razi Hu Tujhe Chaharaha Hu Teri Riza
Aayi Nida Gayeb Sar-e-Asr-e-Karbala
Aaye Nafs-e-Mutmayeena Palat Aa Meri Taraf
6.Sar Peette Saqi-e-Kausar Tere Liye
Aansu Baharahe Hai Payambar Tere Liye
Sar Gudh Me Liye Tujhe Roti Hai Syeda
Aayi Nida Gayeb Sar-e-Asr-e-Karbala
Aaye Nafs-e-Mutmayeena Palat Aa Meri Taraf
7.Fidwi Farishta Mout Ka Aajiz Howa Tha Jab
Maqtal Me Apne Aabd Se Yeh Kehraha Rab
Karbobala Ke Dast Se Jannat Me Jald Aa
Aayi Nida Gayeb Sar-e-Asr-e-Karbala
Aaye Nafs-e-Mutmayeena Palat Aa Meri Taraf