AAYE QATIL-E-KARBALA – YA HUSSAIN YA HUSSAIN
AAYE GHAREEB-E-NAINAWA – YA HUSSAIN YA HUSSAIN
Ya Hussain Ibne Ali Assalam Assalam
Sibte Paighambar Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Dilbar-e-Hyder Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
1.Roze Aanshoor Luta Asr Talak Ghar Tera
Koi Bakhi Na Raha Tujhku Bachane Wala
Haaye Pamal Howa Dasht Me Tera Laasha
Aaye Qatil-e-Karbala Ya Hussain Ya Hussain
Aaye Ghareeb-e-Nainawa Ya Hussain Ya Hussain
2.Haq Pe Qurban Howe Aun-o-Mohd Run Me
Chur Zakhmou Se Karbobala Ke Bun Me
Kaisi Yeh Aag Laagi Shah Tere Gulshan Me
Aaye Qateel-e-Karbala Ya Hussain Ya Hussain
Aaye Ghareeb-e-Nainawa Ya Hussain Ya Hussain
3.Haaye Aathara Baras Maa Ne Jisse Tha Pala
Khake Seene Pe Seena Khoon Ka Dariya Ubla
Haal par Tere Taras Koi Na Khaya Moula
Aaye Qatil-e-Karbala Ya Hussain Ya Hussain
Aaye Ghareeb-e-Nainawa Ya Hussain Ya Hussain
4.Haaye Masoom Gala Teer-e-Sitam Waiwala
Usku Ek Boond Bhi Paani Ka Na Ummat Ne Diye
Uska Dum Todhna Hathou Pe Jo Tumne Dekha
Aaye Qatil-e-Karbala Ya Hussain Ya Hussain
Aaye Ghareeb-e-Nainawa Ya Hussain Ya Hussain
5.Pouhche Jab Laash Pe Qasim Ki Tha Khoon Ka Manzar
Run Me Pamal Tha Bikhra Howa Farwa Ka Pisar
Tukhde Qasim Ke Uthana Wo Tera Roro Kar
Aaye Qatil-e-Karbala Ya Hussain Ya Hussain
Aaye Ghareeb-e-Nainawa Ya Hussain Ya Hussain
6.Bafawa Sher-e-jaari Pouhcha Jo Paani Ke LIye
Laota Jis Waqt Laaga Gurz-e-Sitam Baazu Kaate
Haan Palatna Wo Tera Mashk-o-Alam Saath Liye
Aaye Qatil-e-Karbala Ya Hussain Ya Hussain
Aaye Ghareeb-e-Nainawa Ya Hussain Ya Hussain
7.Aayi Hai Teri Behan Laut Ke Chehlum Ke Liye
Mere Maajaye Wafa Karke Main Aayi Wade
Saath Soughat-e-Safar Neel Hai Baazu Pa Mera
Aaye Qatil-e-Karbala Ya Hussain Ya Hussain
Aaye Ghareeb-e-Nainawa Ya Hussain Ya Hussain
8.Jayungi Maa Ki Halat Par Tera Kurta Lekar
Maa Ki Turbat Se Kahungi Hai Saughat-e-Safar
Dastan Saari Sonaungi Wahi Roro Kar
Aaye Qatil-e-Karbala Ya Hussain Ya Hussain
Aaye Ghareeb-e-Nainawa Ya Hussain Ya Hussain
9.Sheh Ka Khat Padhke Habeeb Ibne Mazahir Jo Chale
Ek Ek Lafz Pe Wo Aansu Bahate Hi Rahe
Aise Ansar Khudawand Ne Tumku Bakhse
Aaye Qatil-e-Karbala Ya Hussain Ya Hussain
Aaye Ghareeb-e-Nainawa Ya Hussain Ya Hussain