Aayi haatif ki aawaz sheh ko utro Shabbir ye karbala hai
Bas qadam ab na aage badhaao utro Shabbir ye karbala hai
Ab safar qatm hai ibne Zahra, labe darya karo qaime barpa
Hashr tak hai yahi’n tumko rehna utro Shabbir ye karbala hai
Yahi’n nau roz mehmaa’n rahoge, khaane peene ki eeza sahoge
Bhooke pyaase yahi’n qatl honge
utro Shabbir ye karbala hai
Marte dam bhi na paani milega, pyaasi gardan pa qanjar chalega
Sar tumhara sina par chadega
utro Shabbir ye karbala hai
Laash chaalees din tak tumhari, Is hi jungle me uryaa’n rahegi
Rone waala bhi koi na hoga
utro Shabbir ye karbala hai
Khaaegi jab sakina tamaacha, yahi’n tadpega laasha tumhara
Shimr dega yahi’n usko eeza utro Shabbir ye karbala hai
Raahwaar apna sarwar ne roka, utre baaqar wahi’n shaahe waala
Haatife ghaib jis dam pukaara utro Shabbir ye karbala hai