ya mohammed mustafa ya ali sher e khuda
aaiye ab karbala me hogaye tanha hussain
har khadam par shaahe dee'n ke gham ka ek toofan hai
laarahe hain ran se phir bhi ek jawa'n lasha hussain
fatima zehra tadpkar shimr se kehti rahi
na sitam kar bhooka pyaasa hai mera bachcha hussain
aalam e ghurbat hai koi monis o yawar nahi
zaalimo'n ke darmiya'n hai dilbar e zehra hussain
dijiye aakar dilasa fatima ke laal ko
dasht e ghurbat me hai pyaasa aapka beta hussain
chalgaya pyaase gale par kund khanjar shimr ka
hai tadapta khaak par ye aapka pyaara hussain
ye gham e shabbir hamse na baya'n hoga fida
bas khuda hi jaanta hai gham sahe kya kya hussain