hai dunya mein beti bahot aise bacche
sada baap nahi jeete hai kisi ke
ab aaj se bin baap ki kehlaogi beti
sheh bali sakina se ye farmate thay ro kar
ab aaj se bin baap ki kehlaogi beti
aa lag jaa kaleje se sukoon e dil e sarwar
ab aaj se bin baap ki kehlaogi beti
kuch lamhon mein ghir jaunga mai fauje jafa mein
sab khoon ke pyase hai mere karbobala mein
phayrega layeen sookhe galay par mere khanjar
ab aaj se bin baap ki...
allah ke is dehr mein dastoor hai aise
zinda nahi rehte hai sada baap kisi ke
jo dehr mein aaya hai usay jaana hai dilbar
ab aaj se bin baap ki...
maanind yateemon ki tujhe aah mai banadun
aa tujhko mai poshak e yateemi bhi pinhadun
maare na kahin shimr tamache tere rukh par
ab aaj se bin baap ki...
qaime mein chali jao meri jaan sakina
sab hogaye ab deen pe qurban sakina
imdad ko aayenge na abbas e dilawar
ab aaj se bin baap ki...
aa tujhko kaleje se mai ek baar lagalun
ek baar tujhe aur mai seene pa sulalun
ab aaj se soyega mere seene pa asghar
ab aaj se bin baap ki...
waada karo mujhse ay meri raahate jaani
ro ro ke na zainab se meri maangogi pani
jab royegi tu royega naize pe mera sar
ab aaj se bin baap ki...
ab zid na karo chodo meri beti aba ko
kuch lamho mein cheenege udoo teri rida ko
ho jaogi ab aaj se be-maqna o chadar
ab aaj se bin baap ki...
ab haafiz o nasir tera allah sakina
hoga na meinassar tujhe ab mera ye seena
ye khaakh ki ab aaj se hoga tera bistar
ab aaj se bin baap ki...
aamir ye sada sun ke tadapti thi sakina
aalam yehi farmate thay jab shaahe madina
ab baad mere tum ko satayenge sitamgar
ab aaj se bin baap ki...