Kanz e Aza

Haye Amma

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Alam Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

haye amma meri amma

amma na hamein chod ke jao

naraaz ho kyun kuch to batao


bin aap ke ek pal na sukoon paunga amma

jab tak na bulaogi na paas aunga amma

ab uth ke kaleje se lagao

amma na hamein...

naraaz ho kyun...


haa maine suna aap ka pehlu hai shikasta

ruksaar pe kis shakhs ne maara hai tamacha

shabbir ko bas itna batao

amma na hamein...

naraaz ho kyun...


ye aap ka beta bada maghmoom hai amma

zakhmi hai badan aap ka maloom hai amma

baba ko utho zakhm dikhao

amma na hamein...

naraaz ho kyun...


darbar mein bhi aap ko zaalim ne sataya

aur pehlu pe jalta hua darwaza giraya

marham utho zakhmon pe lagao

amma na hamein...

naraaz ho kyun...


markaz pe khada ashk bahaega ye mazloom

amma utho roti hai bahot zainab o kulsoom

behno ki mere aas bandhao

amma na hamein...

naraaz ho kyun...


tum hum ko sula kar hi sada soti thi amma

hum se kabhi naraaz nahi hoti thi amma

pyasa hoo bahot pani pilao

amma na hamein...

naraaz ho kyun...


phat'ta hai jigar dekha nahi jaata hai manzar

ghurbat mere baba ki zara dekho to uthkar

chehre se kafan apne hatao

amma na hamein...

naraaz ho kyun...


jab chaunk ke uth jaata tha mai raaton ko aksar

tab lori sunaati thi mujhe godh mein lekar

phir mujhko wohi lori sunao

amma na hamein...

naraaz ho kyun...


ay aamir o aalam hai yehi dil mein tamanna

ay kaash sada aaye yehi sayyade waala

bachpan ka mera nauha sunao

amma na hamein...

naraaz ho kyun...