hussain aaya hai dekho to ek nazar amma
sadayein deta hai kab se tera pisar amma
wo dekho zainab o kulsoom ro rahi hai wahan
tadap ke bhaiya hassan kar rahe hai aah o fughan
na jao aise bhare ghar ko chod kar amma
hussain aaya hai dekho...
kyun hum se rooth ke jaati ho is tarha bolo
mai tumko jaane nahi doonga aankh to kholo
nahi tumhare bina umr ka basar amma
hussain aaya hai dekho...
ye kaisa daur hamay waqt ne hai dikhlaya
saron se uthgaya bachpan mein aap ka saaya
katega kaise tere baad ye safar amma
hussain aaya hai dekho...
mai tumko kab se jagata hoon kyun nahi uth'ti
sadayien deta hoon ro ro ke bolti hi nahi
khudara bolo ke phat'ta hai ab jigar amma
hussain aaya hai dekho...
shaheed hogaya mohsin jalaya ghar amma
tumhara pehlu hai zakhmi giraya dar amma
jina mein dena ye nana ko sab khabar amma
hussain aaya hai dekho...
tumhare baad maza kuch nahi hai jeene ka
hai sogwaar har ek baam o dar madine ka
mujhe bhi le chalo jaati ho tum jidhar amma
hussain aaya hai dekho...