Kanz e Aza

Lakhte Dile Hasan

A noha for Shahzade Qasim (a.s), written by Ali Rizvi Sachey. Lyrics in Roman Urdu.

lakhte dil e hassan ke tukde utha utha ke

daaman mein rakh rahe hai sarwar saja saja ke


karbobala mein beta maadar ki laaj rakhna

bachpan se maa ne paala lori suna suna ke

lakhte dil e hassan ke...


de kar raza e maqtal bhai ke laadle ko

karte hai pyaar sarwar dil se laga laga ke

lakhte dil e hassan ke...


ye keh ke ran mein qasim fauje jafa pe toote

ladte nahi hai ran mein jaan ko bacha bacha ke

lakhte dil e hassan ke...


josh e wafa e qasim ghazi se mil raha hai

darya se uth rahi hai maujein wafa wafa ke

lakhte dil e hassan ke...


ek tashna lab ko ran mein laakhon ne mil ke maara

taapon se rond daala ghode bhaga bhaga ke

lakhte dil e hassan ke...


tukde badan hai saara shabbir ro rahe hai

chunte hai laash e qasim aansu baha baha ke

lakhte dil e hassan ke...


pamaal ho ke pyasa sairaab ho raha hai

tashna labi ko apne khoon mein bujha bujha ke

lakhte dil e hassan ke...


maa dekhne na paaye tukde badan hai saara

laate hai laash maula maa se chupa chupa ke

lakhte dil e hassan ke...


deti rahi sadayein farwa kahan ho qasim

haste rahe sitamgar qaime jala jala ke

lakhte dil e hassan ke...


farwa ka chand khoon mein dooba kuch is tarha se

rota raha falak bhi taare bujha bujha ke

lakhte dil e hassan ke...


tukde nahi ye qasim ran mein tere badan ke

naqshe baqa rakhe hai tu ne bana bana ke

lakhte dil e hassan ke...