MADAD KO AAIIYE YAA SHAH E KARBALA MERI
YE AAQRI MERE MAULA HAI ILTEJAA MERI
Zameen e karbobala hai jafa ka nargha hai
Badan yateem ka paamaal hone wala hai
Sunega kaun musibat me ab sadaa meri
Madad ko aaiiyeya shah e karbala meri
Na poochiye saremaidaan kya musibat hai
Adoo hai darpayeaazaar waqte ghurbat hai
Bikharna jaaye kahi laash jaabajaa meri
Madad ko aaiiyeya shah e karbala meri
Bachi hai chand hi saansey ajeeba alam hai
Bas ek deed ki pyaasi ye chashme purnam hai
Ghadi hai aaqri aye hujjat e khuda meri
Madad ko aaiiyeya shah e karbala meri
Thaa jisne baba Hasan se kiya aahad todaa
Thaa jisne sulha ki shartao se apna moo modaa
Jawab zulm ka ab bangayi wigha meri
Madad ko aaiiyeya shah e karbala meri
Na jaane zulm o sitam kya karenge baniye shar
Na jaane qatm ho kis haal me wafa ka safar
Qabar to leejiye Ammoo mere zara meri
Madad ko aaiiyeya shah e karbala meri
Qabar nadeejiye amma ko mere marne ki
Na sehsakegi ye sadmaa yaqee hai kubra bhi
Mai jaanta ho ke nazdeek hai qazaa meri
Madad ko aaiiyeya shah e karbala meri
Ajeeb haal hai ek roz ki bihaayi ka
Muaal kya yehi hota hai be gunaahi ka
Dulhan hai aaj mere gham me mubtela meri
Madad ko aaiiyeya shah e karbala meri
Zubaan e khusk se aawaaz doo to kaise doo
Sadaa bhi halq me atki hui hai kya bolo
Hui hai pyaas bhi ab sabraazmaa meri
Madad ko aaiiyeya shah e karbala meri
Na mautaayi na jeene ki koi chaahat hai
Har ek zaqm har ek saans bhi azeeyat hai
Na jaane mujh se hai taqdeer kyun qafaa meri
Madad ko aaiiyeya shah e karbala meri
Zameen e garm hai Sadiq ke lab pe naala hai
Huzoora aiiye ab dum nikal ne waala hai
Qareeba agaayi manzil bohat chacha meri
Madad ko aaiiyeya shah e karbala meri