Kanz e Aza

Madine Mai Na Jaungi

A noha for Arbayeen, written by Anwar Zahir. Lyrics in Roman Urdu.

jab qaid se azad hui aal e payambar

aur karbobala aa gaye sab waaris o yawar

tab bibiyan rone lagi qabron se lipat kar

abid se ye farmani lagi zainab e muztar

ay laal watan chalne pe majboor na karna

maajaye ki turbat se mujhe door na karna

madine mai na jaungi


hussain ibne ali ki qabr pe aansu bahaungi

madine mai na jaungi


akela chod doo kaise mai zehra ki kameini ko

abhi royi nahi dil khol ke mai apne bhai ko

yahan farshe aza shabbir ka mai to bichaungi

madine mai na jaungi...


koi poochega qasim ko koi poochega akbar ko

koi abbas ko poochega koi aake sarwar ko

hua barbaad saara ghar mai kis kis ko bataungi

madine mai na jaungi...


yahan aayi to athara baradar saath laayi thi

chali thi jab madine se bhara ghar saath laayi thi

wahan jaa kar nazar sughra se mai kaise milaungi

madine mai na jaungi...


madine shauq se jaati ali akbar agar hote

pisar hote na hote bhai mere humsafar hote

jo milne bibiyan aayengi mai to mar hi jaungi

madine mai na jaungi...


kiya hai qatl aada ne mohamed ke nawase ko

sukoon miljayega is amr se do din ke pyase ko

hussain ibne ali ke naam par pani pilaungi

madine mai na jaungi...


yahan par aan kar ab ambiya aansu bahayenge

hassan zehra mohamed hyder e karrar aayenge

hussain ibne ali ka marsiya sab ko sunaungi

madine mai na jaungi...


mere bhai ki turbat soona jangal aur veerana

andhera ban ye tanhaai ye charon samt sannata

yahan reh kar ghame shabbir ki basti basaungi

madine mai na jaungi...


bithaya kaise anwar naaqe pa sarwar ki khwahar ko

sunati thi sukhan yehi magar sajjad e muztar ko

charaghe qabr ashkon se mai ro ro kar jalaungi

madine mai na jaungi...