umme rabab baithi shahe deen ki qabr par
thi mehwo is tarha se ke hat'ti na thi nazar
zainab badhi ye dekh ke boli jhuka ke sar
uthiye bahot hai door ka bhabi abhi safar
ek aah ki rabab ne yun phat gaya jigar
boli tadap ke zainabe muztar se nauhagar
beta hai karbala mein to beti hai shaam mein
kije dua ye bargahe khaas o aam mein
so jaun mai bhi qabre shahe tashnakaam mein
hasrat nahi kuch aur mai ab jee ke kya karoo
jee ke kya karoo
asghar sidhare saamne nazron ke aap ki
toda hai dam sakina ne godhi mein aap ki
jholi mein kuch raha nahi bibi rabab ki
ye aa gaya hai daur mein ab jee ke kya karoo
jee ke kya karoo
jisse tha zindagi mein ujaala chala gaya
cheh maah jisko godh mein paala chala gaya
bibi hamara hasliyon wala chala gaya
kya reh gaya aur mai ab jee ke kya karoo
jee ke kya karoo
maangegi mujhse fatema sughra jo bhai ko
doongi jawab kya mai bhala gham satayi ko
kya moo dikhaun ahmad e mursal ki jaayi ko
jeene ke hai ye to aur jee ke kya karoo
jee ke kya karoo
shauhar hai mere saath na beta hai saath mein
dekhun mai kiski raah jiyun kiski aas mein
kya reh gaya hai jism ki boseeda saans mein
mai jee chuki bas aur mai ab jee ke kya karoo
jee ke kya karoo
bewa hassan ki kubra si beti ujad gayi
auron ka kya khud aap ki godhi ujad gayi
zehra ka ghar batool ki kheti ujad gayi
khud sochiye ba-ghaur mai ab jee ke kya karoo
jee ke kya karoo
kabse khadi hoo aas lagaye mai raah mein
jaun kahan bataye is haale tabaah mein
shak hoke le le mujhko bhi apni panaah mein
ay dashte zulm o jaur mai ab jee ke kya karoo
jee ke kya karoo