ya hussain shaah e karbala
aap hai kareem ba khuda
poori kijiye meri dua
is baras ke arbaeen mein
karoro zaireen mein
naam ho mera likha hua
ya maula ya maula
maula zawwar bana de
mujhe ek baar sada de
meri qismat ko jaga de
apna darbaar dikha de
ya maula ya maula
maula zawwar bana de
dil mein meri rooh mein armaan basa hai
khwabon khayalon mein mere karbobala hai
aankhon mein aansu hai labon par ye dua hai
mere tadapne ki wajah tum ko pata hai
mujhe ek baar sada de
meri qismat ko jaga de
apna darbaar dikha de
ya maula ya maula
maula zawwar bana de
aankhein meri kassh ke dar aap ka dekhe
haath mere rauze ki jaali ko jo thaame
lab ye mere aap ki choukat ko jo choome
log mujhe aashiq e shabbir pukare
mujhe ek baar sada de
meri qismat ko jaga de
apna darbaar dikha de
ya maula ya maula
maula zawwar bana de
shaano pe mai rakhe huwe shaal e aza ko
ghar se mai jis waqt chalun karbobala ko
baazu pe baandhunga mai taweez e raza ko
maa meri seene se lagayegi dua ko
mujhe ek baar sada de
meri qismat ko jaga de
apna darbaar dikha de
ya maula ya maula
maula zawwar bana de
karbobala shehr e najaf se mai badhunga
sardi ho garmi ho mai paidal hi chalunga
raah mein zawwaron ki khidmat mai karunga
parcham e abbas utha kar mai rakhunga
mujhe ek baar sada de
meri qismat ko jaga de
apna darbaar dikha de
ya maula ya maula
maula zawwar bana de
bhoola nahi aap ke akbar ki jawani
yaad hai asghar ki mujhe tishna dahani
ban gaya zawwar to mannat hai ye maani
naam e sakina pe pilaunga mai pani
mujhe ek baar sada de
meri qismat ko jaga de
apna darbaar dikha de
ya maula ya maula
maula zawwar bana de
ay shah e karbobala mujhe zawwar bana
ye tamanna hai meri apna darbar dikha
chal diye ahle aza sar pe parcham hai khula
sab ki manzil hai wohi karbala karbobala
mujhe ek baar sada de
meri qismat ko jaga de
apna darbaar dikha de
ya maula ya maula
maula zawwar bana de
mujhe apna bana le ay mere maula hussain
mujhe ek bar sada de ay mere maula hussain
mujhe maulayi bana de ay mere maula hussain
meri taqdeer jaga de ay mere maula hussain
maula karbala bula le ay mere maula hussain
mujhe ek baar sada de
meri qismat ko jaga de
apna darbaar dikha de
ya maula ya maula
maula zawwar bana de