Pahonche qareeb shehr-e-madina to ro diye
Abid ka dil ghamo se bhar aaya to ro diye
Paao'n me aabile the, chale aur tehar gaye
Rouza rasool ka nazar aaya to ro diye
Baithe zamee'n pa sar ko, jhukaye huwe imam
saaya kiya kisi ne rida ka to ro diye
Abbas ki wafa ka, shuja-at ka zikr tha
Bete ne aake baap ko poocha to ro diye
Ummul banee'n ko bete ka, pursa diya magar
Sughra ko de sake na dilasa to ro diye
Farmate the shaheed, huwe aqruba tamaam
Besheer ko kisi ne jo poocha to ro diye
Roodaad karbala ki, sunaaya kiye imaam
jab zikr shehr-e-shaam ka aaya to ro diye
Moula qamar nisaar, koi inteha bhi hai
raato'n me roye din nikal aaya to ro diye