Kanz e Aza

Qadam Badte Rahe

A noha for Arbayeen, written by Gohar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

qadam badhta rahe aao karbala ki taraf

labon pe ya hussain ho aur aankh ashk baar


saath le ke karbala ke sher ka alam

bawafa sipahi ki tarha uthe qadam

yazeediyat ko rond do badhe chalo badhe chalo

karbala mein jis tarha badhe thay sheh ke jaanisaar

qadam badhta rahe...


raah mein khade hai saf ba saf malayeka

tumko dekh dekh kar kahenge marhaba

tum azaa ka chain ho zaair e hussain ho

tumse milne ke liye hai ambiya bhi beqaraar

qadam badhta rahe...


shaah e deen fatema ka noore ain ka

jis jagah pe lut gaya tha ghar hussain ka

jahan pe sar qalam hua lahoo mein tar alam hua

royi nanhi qabr khod ke jahan pe zulfaqaar

qadam badhta rahe...


jis ke bete hogaye shaheed be khata

ran mein jis ki betiyo ki chin gayi rida

jo dasht mein ujad gayi hussain se bichad gayi

wo ghareeb maa tumhara kar rahi hai intezar

qadam badhta rahe...


bhai ke mazaar par behan ke saath saath

ro rahi hai bain kar ke saari kayenaat

zameen se taa'ba aasman hai ek matami samaan

hogi har taraf hussain ya hussain ki pukaar

qadam badhta rahe...


yaad saare momino ko dam ba dam rahe

karbala pahunch ke har nigaah kham rahe

har ek kaneez e fatema bol kar rakhe rida

ye rahe khayal tum hussain ke ho sogwaar

qadam badhta rahe...


khoon mein tar namaz padh ke shaah ne kaha

hai yehi baqa e deen raza e kibriya

ho bar zameen e karbala namaz waqt par ada

dega sajday e hussain bi duayein beshumar

qadam badhta rahe...


har qadam ho maqsade hussain ki taraf

badh rahe ho akherat ke chain ki taraf

nazar mein gohar e azaa ho bas raza e kibriya

ho safar najaf se karbala ka aaj yaad gaar

qadam badhta rahe...