Kanz e Aza

Quran Lahoo Mein

A noha written by Gohar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

quran lahoo mein doob gaya

aale nabi hai bin chadar haye nauha kuna hai kaaba


roya tadap ke saahil ko darya galay laga ke

pathar ke dil huwe pani khoon barsa aasman se

rondha gaya hai ghodon se sibte nabi ka laasha

quran lahoo mein...


ek teer aake asghar ki gardan mein gad gaya hai

veeran maa ki godhi hai jhoola ujad gaya hai

cheh maah ka mujahid bhi maara gaya hai pyasa

quran lahoo mein...


chun chun ke phool maadar ne ro ro ke ye sada di

ay mere laal ye teri kaisi hui hai shadi

pamaal hogaya laasha bikhra hua hai sehra

quran lahoo mein...


sharm o haya ki shehzadi be-maqna o rida hai

ghairat se ran mein ghazi ka laasha tadap raha hai

uth uth ke girta hai ran mein abbas ka janaza

quran lahoo mein...


asbaab lut gaya saara qaime ujad gaye hai

aale rasool roti hai kuffar has rahe hai

koi nahi hai ab yawar aulaad e mustafa ka

quran lahoo mein...


karte hai zulm bacchon par zulm o sitam ke baani

faryad kar rahi hai ye muqtool naujawani

kadiyal jawan akbar ka tukde hua kaleja

quran lahoo mein...


hai kaun ab ghareebon ka pooche jo in se aake

kyun maarte hai ye zaalim moo par mere tamache

sunta nahi hai koi bhi kis se kahun mai baba

quran lahoo mein...


dil chaak hogaya gham se sadmon se natawan hai

ghurbat ki khaak hai sar par aankhon se khoon rawan hai

sota hai khaak par baitha dono jahan ka aaqa

quran lahoo mein...


aayaat karbala ki ye kehti hai sar utha ke

deen e khuda bachane ko surat mein sheh ki aake

shaam e ghariban mein suraj gohar ye kehke dooba

quran lahoo mein...