mohabbaton ki inteha hai tujhse ibne syeda
hamari rooh mein basa ajab hai rishta e wafa
hai tera ishq imtehan nisaar tujphe do jahan
kahe zameen o aasman ye tifl peer aur jawan
jab talak saans chale ye azadari rahe
gham e hayaat ka hai tu hi nasbul ain
qurban dil o jaan mere maula hussain
jab tak jiyenge tujhpe marenge
karte rahe ahle aza bas yehi elaan
qurban dil o jaan mere maula hussain
sau baar agar zindagi milay
sau baar fida tujhpe ya hussain
jaan fida karne ko tayyar rahenge
majlis o matam ke talabgaar rahenge
zehra ke bachon se wafadar rahenge
tune kiya aisa kaam tujhpe durood o salam
teri mohabbat mein giraftar rahenge
jab tak jiyenge tujhpe marenge
karte rahe ahle aza bas yehi elaan
qurban dil o jaan...
tere azadaar to zehra ki dua hai
jaan hatheli pe rakhe mehwe buka hai
maula tere naam pe maa baap fida hai
fakhr se kehte hai hum jab bhi sajaye alam
saya figan daste alamdar e wafa hai
jab tak jiyenge tujhpe marenge
ab ye qadam rok nahi payenge toofan
qurban dil o jaan...
binte nabi aati hai jab farshe aza par
jaati hai wo ashkon ko rumaal mein lekar
matami halqon ko dua deti hai rokar
itna bada martaba ahle aza ko mila
aagayi besaakhta ye baat zaban par
jab tak jiyenge tujhpe marenge
padte rahe hum bhi aqeedat se ye farman
qurban dil o jaan...
hum uspe fida hai jo tujhpe fida hai
hum hogaye uske jo tera hua hai
tafseer e kisa hai khsaliq ne kaha hai
shabbir ka dushman dushman hi mera hai
mere syed meri jaan deen ke rooh e rawan
ye sabhi arz o samaa hai tere madha sara
qurban dil o jaan...
humne zamane ko yehi dars diya hai
ishq ho gar aale nabi se to maza hai
hurr ki jo manzil hai aqeedat ka sila hai
kal tha bashr wo bhi aam aaj alaihisalam
baad shahadat bhi yehi hurr ne kaha hai
jab tak jiyenge tujhpe marenge
poora kiya humne dil e zehra ka armaan
qurban dil o jaan...
kaise bhala haq ka bayan rok sakegi
kaise mohabbat ki zaban rok sakegi
kya tere nauhon ki azan rok sakegi
rash msy deewaar hai tere azadaar hai
dunya tere gham ko kahan rok sakegi
jab tak jiyenge tujhpe marenge
teri aza teri wila markaz e eeman
qurban dil o jaan...
taaziya taboot alam aur amaari
zinda julooson mein hai tehzeeb hamari
raah mein har simt sabeelein bhi hai jaari
jaise bhi halaat ho laakh sawalaat ho
rasme aza hai ye hamein jaan se pyari
jab tak jiyenge tujhpe marenge
bus ye rasumaat shifaat ka hai samaa
qurban dil o jaan...
qaul e nabi aala sifaat kaisi mukammal hai ye baat
tu hi hidayat ka charagh tu hi safeena e nijaat
tu hi rasta tu hi manzil hai tu hi raahnuma
ye caroro tere zaair de rahe hai ye sada
arbaeen ke ye manazir bar sare karbobala
tere parcham ko uthaye hai sabhi mehwe buka
qurban dil o jaan...
tere sab as'haab mawaddat ke musafir
apna watan chod ke aaye teri khaatir
dashte bayaban mein sabhi hogaye haazir
saahib e emaan hai ishq pe qurban hai
jaun zuhair aur habeeb ibne mazahir
jab tak jiyenge tujhpe marenge
sabke labon par hai sada bar sare maidan
qurban dil o jaan...
ek ke baad ek gaye sar ko katane
tune khareedi jo zameen usko sajane
jab tu gaya laashon ko maidan se uthane
laashon ne rokar kaha dijiye maula dua
karbobala aaye thay hum waada nibhane
jab tak jiyenge tujhpe marenge
sunte hai laashon ki sada syed e zeeshan
qurban dil o jaan...
kaise masayib hai suno mesum o mazhar
akbar o abbas ho ya qasim o asghar
aun o mohamed ho ke muslim ke do dilbar
sab thay ghareebul watan khaak pe thay bekafan
kehta tha shabbir se har laasha e be-sar
jab tak jiyenge tujhpe marenge
maula tere baad nahi jeene ka armaan
qurban dil o jaan...