raj dulara zehra ka zakhmi hai aur pyasa hai
boondh nahi hai pani ki khoon ka darya behta hai
gayti oonchi hoti hai girne na degi ghode se
apni godh may lelegi kiski godh ka paala hai
raj dulara zehra ka…
raahe khuda may jaldi ki aage jaane walon ne
subha ke saathi choot gaye shaam huyi ab tanha hai
raj dulara zehra ka…
akbar-o-qasim koi nahi aas bandhe to kisse bandhe
darya cheen'ne waala bhi darya cheen ke sota hai
raj dulara zehra ka…
khoon ki nadi aise bahi subha se lekar shaam talak
chand nabi ka doob gaya suraj doobne wala hai
raj dulara zehra ka…
halq pe tayghe khaatil hai jaane payambar sajde may
dono aalam sajde may kaisa pyara sajda hai
raj dulara zehra ka…
kal jo nabi ke dosh pe tha aaj wo sar hai naize par
ek zamana aisa tha ek zamana aisa hai
raj dulara zehra ka…
bujh gayi shamme qabre nabi dashte bala kya roshan hai
beech may qaime jalte hai chaaron taraf andhiyara hai
raj dulara zehra ka…
maut ye teri kaisi thi marne waale tere liye
majlis basti basti hai matam sehra sehra hai
raj dulara zehra ka…