Kanz e Aza

Ran May Asghar

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Ahmed Naved. Lyrics in Roman Urdu.

ran may asghar teer khane aagaye

teer kha kar muskurane aagaye


aagaye le kar tabassum ki ada

fauje aada ko rulaane aagaye

teer kha kar...

ran may asghar...


aaye kya maidan may asghar ay khuda

saath unke sab zamane aagaye

teer kha kar...

ran may asghar...


chahiye thi ek jahan ko roshni

ek diya khoon se jalane aagaye

teer kha kar...

ran may asghar...


baat to rakhna thi teri ay khuda

khoon may asghar nahane aagaye

teer kha kar...

ran may asghar...


moo pe jab asghar ka khoon sheh ne mala

ambiya bhi sar jhukane aagaye

teer kha kar...

ran may asghar...


maa thi jhoole se abhi lipti hui

aur udoo jhoola jalane aagaye

teer kha kar...

ran may asghar...


jab azakhana saja dekha naved

hum bhi ek nauha sunane aagaye

teer kha kar...

ran may asghar...