aaja asghar godh may kehti rahi maa raat bhar
har musibat ranj o gham sehti rahi maa raat bhar
teer se zaalim ne asghar ko kiya pyasa shaheed
bas isi ek dard may doobi rahi maa raat bhar
aaja asghar godh may...
mujko lagta hai ke jaise soye ho tum godh may
neendh se jaago zara kehti rahi maa raat bhar
aaja asghar godh may...
dekhlun ek baar beta chand si surat teri
qabr se takraake sar roti rahi maa raat bhar
aaja asghar godh may...
godh ki garmi abhi tak hai magar tum chal base
rote rote qabr se lipti rahi maa raat bhar
aaja asghar godh may...
zainab o kulsoom samjhaati rahi usko magar
paas nanhi qabr ke baithi rahi maa raat bhar
aaja asghar godh may...
ashq aankhon se musalsal behte thay sajjad ke
jab ye dekha ranj may doobi rahi maa raat bhar
aaja asghar godh may...
kya sunayega bober haalate gham aur kis tarha
khaali jhoola dekh kar roti rahi maa raat bhar
aaja asghar godh may...