roya kiya jo pyaas se asghar tamam raat
tha qaima e hussain may mehshar tamam raat
pyason ke ishtiyaq may maanind chasme tar
chalka kiya bahisht may kausar tamam raat
roya kiya jo pyaas se...
ro ro sakina kehti thi baba ki khair ho
mai dekhti hoo khwaab may khanjar tamam raat
roya kiya jo pyaas se...
baba pe sar katayenge tum doodh baksh do
kehte rahe ye bano se akbar tamam raat
roya kiya jo pyaas se...
roye jo chaunk chaunk ke asghar tamam raat
sadqe utaarti rahi maadar tamam raat
roya kiya jo pyaas se...
kehti thi bano dasht may ajab haalat hai
dar dar gaya hai khwaab may asghar tamam raat
roya kiya jo pyaas se...
sona tha kal jo godh may turbat ki chain se
soye na maa ki godh may asghar tamam raat
roya kiya jo pyaas se...
zainab se shaah kehte thay kal qatl honge hum
jee bhar ke dekhlo hamay khwahar tamam raat
roya kiya jo pyaas se...