royi jab laadli mohamed ki
saara darbar muskuraya hai
haye baad e rasool zahra par
kaisa ghurbat ka waqt aaya hai
jaise jaise batool roti thi
kehkahe unke badte jaate thay
saath jinko batool laayi thi
ashk dono gawah bahate thay
sab thay masroof muskurane mein
na kisi ko bhi tars aaya hai
saara darbar muskuraya hai
royi jab laadli...
mai to wo hoo ke ya rasool allah
jiski tazeem aap karte thay
naam lena ho jab mera baba
aap pehle darood padte thay
kya bataun ke mujhpe kya guzri
usne tu kehke jab bulaaya hai
saara darbar muskuraya hai
royi jab laadli...
ye wo bibi hai ke mohamed bhi
jis ko umme abiha kehte thay
wo sawaali bani khadi thi magar
saamne kursiyon pe baithe thay
usko muslim kahun bhala kyunkar
jisne bibi ka dil dukhaya hai
saara darbar muskuraya hai
royi jab laadli...
tere mimbar pe baithe ghasib ko
teri tehreer bhi dikhayi thi
kar ke tukde layeen ne baba
bhare darbar mein udaai hai
paak tehreer ko hai tukdon mein
maine darbar se uthaya hai
saara darbar muskuraya hai