ye mazaar e nabi se aayi sada
haal kya hogaya tera zehra
baad mere tujhe rulaaya hai
hai ye sadma mujhe bada zehra
ye mazaare nabi se...
jaanta hoo mai teri khasta dili
tu jo darbar mein gayi hogi
tujhko jhutlaaya haq bhi cheen liya
meri tehreer bhi jala daali
kya madine ke log bhool gaye
tu hai siddiqa taahera zehra
ye mazaare nabi se...
aag jab dar pe tere laayi gayi
kaamp kar reh gayi thi rooh meri
jalta darwaza jab gira tujh par
kaise bhoolun wo bebasi teri
tera pehlu shikasta kar daala
qatl mohsin ko kar diya zehra
ye mazaare nabi se...
mat ro itna ye gham sataata hai
tera rona mujhe rulaata hai
haye baba ka marsiya tera
dil pe khanjar mere chalata hai
aasman phat ke gir na jaye kahin
itna girya na kar tu ya zehra
ye mazaare nabi se...
sabr dil ko zara nahi aata
teri faryaad sun nahi paata
din pe padte sitam jo mujhpe huwe
din siyaah raat mein badal jaata
mai zaeefa hui jawani mein
zulm sehti hai bekhata zehra
ye mazaare nabi se...
inteqam e ghadeer hai bibi
ye jafa tujhpe meri shahzadi
itni takleef aur aziyat ki
jaanta hoo ke tu nahi aadi
aaja apne padar ke paas aaja
teri ghurbat pe mai fida zehra
ye mazaare nabi se...
sayyeda kar gayi dunya se safar
ek qayamat thi danish o safdar
nauha karne lage hussain o hassan
mehwe girya thi zainab e muztar
thaam kar dil ali ye kehte thay
mera veeran ghar hua zehra
ye mazaare nabi se...